|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
Ek hi Khwab...
Ek hi khwab kai baar dekha hai maine Har ek zameen par toota aasman dekha hai maine Yun to mushkil hai meri bebasi ko araam pana Har alfaaz ko dam todte dekha hai maine
Waqt ke haathon mei mae ho ya paimana ho Chalak kar toote hue jaamo ko dekha hai maine Thaki boodhi aankhein kuch bataye bhi to kaise Nami ko sookhi lakiro mei badalte dekha hai maine
Ek safar aur sahi in bewafa rahon par Har raahguzar ko pata puchate , dekha hai maine Maut bhi ruthe gar to kyun ho sharminda Har aaine ko besharam hua , dekha hai maine
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|